Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Mohammad Wali

  • Ghazal


kucha-e-yar ain kasi hai


kūcha-e-yār ain kaasī hai
jogī-e-dil vahāñ kā baasī hai

pī ke bairāg kī udāsī suuñ
dil pe mere sadā udāsī hai

ai sanam tujh jabīñ upar ye ḳhaal
hindavī har-dvār baasī hai

zulf terī hai mauj jamunā kī
til nazik us ke jiyūñ sanāsī hai

ghar tirā hai ye rashk-e-deval-e-chīñ
us meñ muddat suuñ dil upāsī hai

ye siyah-zulf tujh zanaḳhdāñ par
nāganī jyuuñ kūñve pe pyāsī hai

tās-e-ḳhurshīd ġharq hai jab suuñ
bar meñ tere libās-e-tāsī hai

jis kī guftār meñ nahīñ hai mazā
suḳhan us kā ta.aam baasī hai

ai 'valī' jo libās tan pe rakhā
āshiqāñ ke nazik libāsī hai

kucha-e-yar ain kasi hai
jogi-e-dil wahan ka basi hai

pi ke bairag ki udasi sun
dil pe mere sada udasi hai

ai sanam tujh jabin upar ye KHal
hindawi har-dwar basi hai

zulf teri hai mauj jamuna ki
til nazik us ke jiyun sanasi hai

ghar tera hai ye rashk-e-dewal-e-chin
us mein muddat sun dil upasi hai

ye siyah-zulf tujh zanaKHdan par
nagani jyun kunwe pe pyasi hai

tas-e-KHurshid gharq hai jab sun
bar mein tere libas-e-tasi hai

jis ki guftar mein nahin hai maza
suKHan us ka taam basi hai

ai 'wali' jo libas tan pe rakha
aashiqan ke nazik libasi hai


Source: Kulliyat-e-Wali

Leave a comment

+