Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Mohammad Wali

  • Ghazal


kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista aahista


kiyā mujh ishq ne zālim kuuñ aab āhista āhista
ki ātish gul kuuñ kartī hai gulāb āhista āhista

vafādārī ne dilbar kī bujhāyā ātish-e-ġham kuuñ
ki garmī dafa.a kartā hai gulāb āhista āhista

ajab kuchh lutf rakhtā hai shab-e-ḳhalvat meñ gul-rū suuñ
ḳhitāb āhista āhista javāb āhista āhista

mire dil kuuñ kiyā be-ḳhud tirī añkhiyāñ ne āḳhir kuuñ
ki jyuuñ behosh kartī hai sharāb āhista āhista

huā tujh ishq suuñ ai ātishīñ-rū dil mirā paanī
ki jyuuñ galtā hai ātish suuñ gulāb āhista āhista

adā o naaz suuñ aatā hai vo raushan-jabīñ ghar suuñ
ki jyuuñ mashriq suuñ nikle āftāb āhista āhista

'valī' mujh dil meñ aatā hai ḳhayāl-e-yār-e-be-parvā
ki jyuuñ añkhiyāñ manīñ aatā hai ḳhvāb āhista āhista

kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista aahista
ki aatish gul kun karti hai gulab aahista aahista

wafadari ne dilbar ki bujhaya aatish-e-gham kun
ki garmi dafa karta hai gulab aahista aahista

ajab kuchh lutf rakhta hai shab-e-KHalwat mein gul-ru sun
KHitab aahista aahista jawab aahista aahista

mere dil kun kiya be-KHud teri ankhiyan ne aaKHir kun
ki jyun behosh karti hai sharab aahista aahista

hua tujh ishq sun ai aatishin-ru dil mera pani
ki jyun galta hai aatish sun gulab aahista aahista

ada o naz sun aata hai wo raushan-jabin ghar sun
ki jyun mashriq sun nikle aaftab aahista aahista

'wali' mujh dil mein aata hai KHayal-e-yar-e-be-parwa
ki jyun ankhiyan manin aata hai KHwab aahista aahista

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Malika Pukhraj RECITATIONS Shamsur Rahman Faruqi Fasih Akmal00:00/00:00 kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista aahista Shamsur Rahman Faruqi

Leave a comment

+