Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Alam Shaheen

  • Ghazal


dar ki chhanw mein guzri kabhi zindan mein kaTi


daar kī chhāñv meñ guzrī kabhī zindāñ meñ kaTī
umr apnī yūñhī takmīl-e-bahārāñ meñ kaTī

baat us zulf-e-pareshāñ kī chalī thī ik raat
phir to har raat mirī ḳhvāb-e-pareshāñ meñ kaTī

shāḳh-dar-shāḳh jale aur nasheman ke charāġh
jab koī shāḳh nasheman kī gulistāñ meñ kaTī

naqd-e-jāñ de ke bhī chuk paa.ī na qīmat us kī
ek saa.at jo kabhī halqa-e-ḳhūbāñ meñ kaTī

phuul āñkhoñ meñ sajā.e hue aayā koī
ḳhair-maqdam kī ghaḌī sair-e-gulistāñ meñ kaTī

dar ki chhanw mein guzri kabhi zindan mein kaTi
umr apni yunhi takmil-e-bahaaran mein kaTi

baat us zulf-e-pareshan ki chali thi ek raat
phir to har raat meri KHwab-e-pareshan mein kaTi

shaKH-dar-shaKH jale aur nasheman ke charagh
jab koi shaKH nasheman ki gulistan mein kaTi

naqd-e-jaan de ke bhi chuk pai na qimat us ki
ek saat jo kabhi halqa-e-KHuban mein kaTi

phul aankhon mein sajae hue aaya koi
KHair-maqdam ki ghaDi sair-e-gulistan mein kaTi


Source: Book : Be-nishaan (Pg. 187) Author : wali aalam Shahiin Publication : Dabistan-e-jadeed (1984) Edition : 1984

Leave a comment

+