Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Aasi

  • Ghazal


kuchh din tera KHayal teri aarzu rahi


kuchh din tirā ḳhayāl tirī aarzū rahī
phir saarī umr apnī hameñ justujū rahī

kyā kyā na ḳhvāb jāgtī āñkhoñ meñ the magar
ai dil kī lahr raat kahāñ jaane tū rahī

jaao phir un ko jā ke samundar meñ pheñk do
ab sachche motiyoñ kī kahāñ aabrū rahī

muḌ muḌ ke baar baar pukārā use magar
āvāz-e-bāzgasht hī bas chaar sū rahī

halke se ik sukūt ke parde ke bāvajūd
us kam-suḳhan se raat baḌī guftugū rahī

muñh moḌ ke vo ham se chalā to gayā magar
is ko bhī umr bhar ḳhalish-e-lucknow rahī

'vālī'! tumheñ navāz rahā hai vo har tarah
tum ko bhī us kī fikr va-lekin kabhū rahī

kuchh din tera KHayal teri aarzu rahi
phir sari umr apni hamein justuju rahi

kya kya na KHwab jagti aankhon mein the magar
ai dil ki lahr raat kahan jaane tu rahi

jao phir un ko ja ke samundar mein phenk do
ab sachche motiyon ki kahan aabru rahi

muD muD ke bar bar pukara use magar
aawaz-e-bazgasht hi bas chaar su rahi

halke se ek sukut ke parde ke bawajud
us kam-suKHan se raat baDi guftugu rahi

munh moD ke wo hum se chala to gaya magar
is ko bhi umr bhar KHalish-e-lucknow rahi

'wali'! tumhein nawaz raha hai wo har tarah
tum ko bhi us ki fikr wa-lekin kabhu rahi


Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 105) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+