Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zahid Shamsi

  • Ghazal


main kinaron ko rulane laga hun


maiñ kināroñ ko rulāne lagā huuñ
phuul dariyā meñ bahāne lagā huuñ

khel ko ḳhatm karo jaldī se
varna maiñ parda girāne lagā huuñ

dil se jā.ūñ to batānā mujh ko
terī mahfil se to jaane lagā huuñ

yuuñ lagī mujh ko mohabbat terī
jaise maiñ bojh uThāne lagā huuñ

pahle maiñ apnā uḌātā thā mazāq
aur ab ḳhaak uḌāne lagā huuñ

kitnī āsānī se maarā gayā thā
kitnī mushkil se Thikāne lagā huuñ

shukr hai ishq ke saude meñ bhī
ashk do-chār kamāne lagā huuñ

vaqt huuñ aur baḌī muddat se
maiñ tire saath zamāne lagā huuñ

aise ḳhāmosh huā huuñ 'zāhid'
jaise maiñ baat baḌhāne lagā huuñ

main kinaron ko rulane laga hun
phul dariya mein bahane laga hun

khel ko KHatm karo jaldi se
warna main parda girane laga hun

dil se jaun to batana mujh ko
teri mahfil se to jaane laga hun

yun lagi mujh ko mohabbat teri
jaise main bojh uThane laga hun

pahle main apna uData tha mazaq
aur ab KHak uDane laga hun

kitni aasani se mara gaya tha
kitni mushkil se Thikane laga hun

shukr hai ishq ke saude mein bhi
ashk do-chaar kamane laga hun

waqt hun aur baDi muddat se
main tere sath zamane laga hun

aise KHamosh hua hun 'zahid'
jaise main baat baDhane laga hun


Leave a comment

+