Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Aasi

  • Ghazal


phailta jata hai nafrat ka dhuan ishq karo


phailtā jaatā hai nafrat kā dhuāñ ishq karo
bujh na jaa.e kahīñ ye sho.ala-e-jāñ ishq karo

ishq bin jiine ke ādāb nahīñ aate haiñ
'mīr' sāhab ne kahā hai ki miyāñ ishq karo

kaj-adā.ī na faqīroñ ko dikhāo yaaro
ek shab ke liye mehmāñ haiñ yahāñ ishq karo

kal na ham hoñge na tum hoge na ye hañgāme
koī din aur hai ye rañg-e-jahāñ ishq karo

ishq ke saude meñ nuqsān bahut hai 'vālī'
par kabhī band na ho dil kī dukāñ ishq karo

phailta jata hai nafrat ka dhuan ishq karo
bujh na jae kahin ye shoala-e-jaan ishq karo

ishq bin jine ke aadab nahin aate hain
'mir' sahab ne kaha hai ki miyan ishq karo

kaj-adai na faqiron ko dikhao yaro
ek shab ke liye mehman hain yahan ishq karo

kal na hum honge na tum hoge na ye hangame
koi din aur hai ye rang-e-jahan ishq karo

ishq ke saude mein nuqsan bahut hai 'wali'
par kabhi band na ho dil ki dukan ishq karo


Leave a comment

+