Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Aasi

  • Ghazal


mil bhi jate hain to katra ke nikal jate hain


mil bhī jaate haiñ to katrā ke nikal jaate haiñ
haa.e mausam kī tarah dost badal jaate haiñ

ham abhī tak haiñ giraftār-e-mohabbat yaaro
Thokareñ khā ke sunā thā ki sambhal jaate haiñ

vo kabhī apnī jafā par na huā sharminda
ham samajhte rahe patthar bhī pighal jaate haiñ

umr-bhar jin kī vafāoñ pe bharosa kiije
vaqt paḌne pe vahī log badal jaate haiñ

is taġhāful pe ye aalam ki har ik mahfil se
vo bhī gaate hue 'vālī' kī ġhazal jaate haiñ

mil bhi jate hain to katra ke nikal jate hain
hae mausam ki tarah dost badal jate hain

hum abhi tak hain giraftar-e-mohabbat yaro
Thokaren kha ke suna tha ki sambhal jate hain

wo kabhi apni jafa par na hua sharminda
hum samajhte rahe patthar bhi pighal jate hain

umr-bhar jin ki wafaon pe bharosa kije
waqt paDne pe wahi log badal jate hain

is taghaful pe ye aalam ki har ek mahfil se
wo bhi gate hue 'wali' ki ghazal jate hain


Source: Book :  Anoop Jalota ki Ghazalen (Pg. 48) Author : Anoop Jalota Publication : Daimond Pocket Books, Daryaganj

Leave a comment

+