aarzū le ke koī ghar se nikalte kyuuñ ho
paañv julte haiñ to phir aag pe chalte kyuuñ ho
shohrateñ sab ke muqaddar meñ kahāñ hotī haiñ
tum ye har roz nayā bhes badalte kyuuñ ho
yuuñ to tum aur bhī mashkūk nazar aaoge
baat karte hue ruk ruk ke sambhle kyuuñ ho
haañ! tumheñ jurm kā ehsās satātā hogā
varna yuuñ rātoñ ko uTh uTh ke Tahalte kyuuñ ho
aur bāzār se 'ġhālib' kī tarah le aao
dil agar TuuT gayā hai to machalte kyuuñ ho
tum ne pahle kabhī is baat ko sochā hotā
peḌ kī chhāñv meñ baiThe ho to jalte kyuuñ ho
aarzu le ke koi ghar se nikalte kyun ho
panw julte hain to phir aag pe chalte kyun ho
shohraten sab ke muqaddar mein kahan hoti hain
tum ye har roz naya bhes badalte kyun ho
yun to tum aur bhi mashkuk nazar aaoge
baat karte hue ruk ruk ke sambhle kyun ho
han! tumhein jurm ka ehsas satata hoga
warna yun raaton ko uTh uTh ke Tahalte kyun ho
aur bazar se 'ghaalib' ki tarah le aao
dil agar TuT gaya hai to machalte kyun ho
tum ne pahle kabhi is baat ko socha hota
peD ki chhanw mein baiThe ho to jalte kyun ho
Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 107) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2010) Edition : 2010
Leave a comment