yuuñ to tanhā.ī meñ ghabrā.e bahut
mil ke logoñ se bhī pachhtā.e bahut
aise lamhe ziist meñ aa.e bahut
ham ne dhoke jaan kar khaa.e bahut
ye nahīñ ma.alūm ki kyā baat thī
ro rahe the mere ham-sā.e bahut
tum hī batlā do ki koī kyā kare
zindagī jab bojh ban jaa.e bahut
ham farāz-e-dār tak tanhā ga.e
do qadam tak log saath aa.e bahut
shahr-e-ġham jaisā thā vaisā hī rahā
yuuñ jahāñ meñ inqalāb aa.e bahut
Dūbnā 'aḳhtar' thā qismat meñ likhā
vaise ham tūfāñ se Takrā.e bahut
yun to tanhai mein ghabrae bahut
mil ke logon se bhi pachhtae bahut
aise lamhe zist mein aae bahut
hum ne dhoke jaan kar khae bahut
ye nahin malum ki kya baat thi
ro rahe the mere ham-sae bahut
tum hi batla do ki koi kya kare
zindagi jab bojh ban jae bahut
hum faraaz-e-dar tak tanha gae
do qadam tak log sath aae bahut
shahr-e-gham jaisa tha waisa hi raha
yun jahan mein inqalab aae bahut
Dubna 'aKHtar' tha qismat mein likha
waise hum tufan se Takrae bahut
Source: Shab Khoon(Shumara Number-071)
Leave a comment