aap se jhuk ke jo miltā hogā
us kā qad aap se ūñchā hogā
nukta-chīnoñ pe jo hañstā hogā
us ko apne pe bharosā hogā
vo jo vīrān phirā kartā hai
us ke sar meñ koī sahrā hogā
tum na samjhoge mirī baat magar
sochne vaalā samajhtā hogā
vo jo marne pe tulā hai 'aḳhtar'
us ne jī kar bhī to dekhā hogā
aap se jhuk ke jo milta hoga
us ka qad aap se uncha hoga
nukta-chinon pe jo hansta hoga
us ko apne pe bharosa hoga
wo jo viran phira karta hai
us ke sar mein koi sahra hoga
tum na samjhoge meri baat magar
sochne wala samajhta hoga
wo jo marne pe tula hai 'aKHtar'
us ne ji kar bhi to dekha hoga
Source: Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 112) Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972) Edition : 1972
Leave a comment