Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wajid Ali Shah Akhtar

  • Ghazal


sahe gham pae raftagan kaise kaise


sahe ġham pa.e raftagāñ kaise kaise
mire kho ga.e kārvāñ kaise kaise

vo chitvan vo abrū vo qad yaad sab hai
sunā.ūñ maiñ guzre bayāñ kaise kaise

mire dāġh-e-sozāñ kā mazmūñ na socho
jale kah ke ātish-zabāñ kaise kaise

rahā ishq se naam majnūñ kā varna
tah-e-ḳhāk haiñ be-nishāñ kaise kaise

shab-e-vasl meñ mah ko uryāñ kareñge
ayaañ hoñge rāz-e-nihāñ kaise kaise

kamar yaar kī nā-tavānī meñ DhūñDī
tavahhum hue darmiyāñ kaise kaise

kaleje meñ 'aḳhtar' phaphole paḌe haiñ
mire uTh ga.e qadr-dāñ kaise kaise

sahe gham pae raftagan kaise kaise
mere kho gae karwan kaise kaise

wo chitwan wo abru wo qad yaad sab hai
sunaun main guzre bayan kaise kaise

mere dagh-e-sozan ka mazmun na socho
jale kah ke aatish-zaban kaise kaise

raha ishq se nam majnun ka warna
tah-e-KHak hain be-nishan kaise kaise

shab-e-wasl mein mah ko uryan karenge
ayan honge raaz-e-nihan kaise kaise

kamar yar ki na-tawani mein DhunDi
tawahhum hue darmiyan kaise kaise

kaleje mein 'aKHtar' phaphole paDe hain
mere uTh gae qadr-dan kaise kaise


Source: Intikhab-e-wajid ali shah akhtar

Leave a comment

+