Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wajid Ali Shah Akhtar

  • Ghazal


haal-e-dil ai buto KHuda jaane


hāl-e-dil ai buto ḳhudā jaane
sach hai sach is ko ġhair kyā jaane

lutf-e-ash.ār pūchh shā.ir se
bevafā.ī vo bevafā jaane

phuuT kar mahfiloñ meñ rote ho
dil kā ahvāl koī kyā jaane

saḳht koī ġhazal maiñ paatā huuñ
nāzukī merā dil-rubā jaane

laakh meñ faisla chukāte ho
mudda.ī kyuuñ na mudda.ā jaane

maraz-e-ishq meñ asar hogā
merā har sher vo davā jaane

aaj behosh ho gayā 'aḳhtar'
kyā huā kyā huā ḳhudā jaane

haal-e-dil ai buto KHuda jaane
sach hai sach is ko ghair kya jaane

lutf-e-ashaar puchh shair se
bewafai wo bewafa jaane

phuT kar mahfilon mein rote ho
dil ka ahwal koi kya jaane

saKHt koi ghazal main pata hun
nazuki mera dil-ruba jaane

lakh mein faisla chukate ho
muddai kyun na muddaa jaane

maraz-e-ishq mein asar hoga
mera har sher wo dawa jaane

aaj behosh ho gaya 'aKHtar'
kya hua kya hua KHuda jaane


Source: Intikhab-e-wajid ali shah akhtar

Leave a comment

+