Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wajeeh Sani

  • Ghazal


mohabbat ke taaqub mein thakan se chur hone tak


mohabbat ke ta.āqub meñ thakan se chuur hone tak
ise tum khel hī samjhe mire majbūr hone tak

vo be-tābī mirī har shaam ke mastūr hone tak
tumhārā baam par aanā añdherā nuur hone tak

tumheñ to yaad hī hogā hamāre biich kā jhagḌā
tumhāre vasl se le kar mire maġhrūr hone tak

ḳhafā tum se zarā sī der ko ik roz ho baiThā
tumhārī aañkh meñ utrī namī bharpūr hone tak

aur is ke darmiyāñ lagtā hai jaise ḳhvāb dekhā ho
hamāre paas aane se hamāre duur hone tak

mohabbat ke taaqub mein thakan se chur hone tak
ise tum khel hi samjhe mere majbur hone tak

wo be-tabi meri har sham ke mastur hone tak
tumhaara baam par aana andhera nur hone tak

tumhein to yaad hi hoga hamare bich ka jhagDa
tumhaare wasl se le kar mere maghrur hone tak

KHafa tum se zara si der ko ek roz ho baiTha
tumhaari aankh mein utri nami bharpur hone tak

aur is ke darmiyan lagta hai jaise KHwab dekha ho
hamare pas aane se hamare dur hone tak


Source: Book : Mohabbat Rasty me.n hai (Pg. 82) Author : Wajih Sani Publication : Samiya Publication (2016) Edition : 2016

Leave a comment

+