yahāñ har aane vaalā ban ke ibrat kā nishāñ aayā
gayā zer-e-zamīñ jo koī zer-e-āsmāñ aayā
na ho garm is qadar ai sham.a is meñ terā kyā bigḌā
agar jalne ko ik parvāna-e-ātish-ba-jāñ aayā
ḳhudā jaane milā kyā mujh ko jā kar un kī mahfil meñ
ki bā-sad nā-murādī bhī vahāñ se shādmāñ aayā
jamāyā rañg apnā maiñ ne miT kar tere kūche meñ
yaqīn-e-ishq merā ab to tujh ko bad-gumāñ aayā
na ho āzurda tū āzurdagī kā kaun mauqā hai
agar mahfil meñ terī 'vahshat'-e-āzurda-jāñ aayā
yahan har aane wala ban ke ibrat ka nishan aaya
gaya zer-e-zamin jo koi zer-e-asman aaya
na ho garm is qadar ai shama is mein tera kya bigDa
agar jalne ko ek parwana-e-atish-ba-jaan aaya
KHuda jaane mila kya mujh ko ja kar un ki mahfil mein
ki ba-sad na-muradi bhi wahan se shadman aaya
jamaya rang apna main ne miT kar tere kuche mein
yaqin-e-ishq mera ab to tujh ko bad-guman aaya
na ho aazurda tu aazurdagi ka kaun mauqa hai
agar mahfil mein teri 'wahshat'-e-azurda-jaan aaya
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
yahan har aane wala ban ke ibrat ka nishan aaya
Nomaan Shauque
Leave a comment