Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

  • Ghazal


aah-e-shab nala-e-sahar le kar


āh-e-shab nāla-e-sahar le kar
nikle ham tosha-e-safar le kar

shaġhl hai naala kuchh murād nahīñ
kyā karūñ ai falak asar le kar

terī mahfil kā yaar kyā kahnā
ham bhī nikle haiñ chashm-e-tar le kar

aap maiñ ne diyā dil us but ko
jhuk ga.ī shāḳh ḳhud samar le kar

thā qafas kā ḳhayāl dāman-gīr
uḌ sake ham na baal o par le kar

'vahshat' us bazm meñ rahe the raat
sub.h nikle haiñ dard-e-sar le kar

aah-e-shab nala-e-sahar le kar
nikle hum tosha-e-safar le kar

shaghl hai nala kuchh murad nahin
kya karun ai falak asar le kar

teri mahfil ka yar kya kahna
hum bhi nikle hain chashm-e-tar le kar

aap main ne diya dil us but ko
jhuk gai shaKH KHud samar le kar

tha qafas ka KHayal daman-gir
uD sake hum na baal o par le kar

'wahshat' us bazm mein rahe the raat
subh nikle hain dard-e-sar le kar


Leave a comment

+