muravvat kā paas aur vafā kā lihāz
kare āshnā āshnā kā lihāz
dam-e-sajda sar saḳht thā be-adab
kiyā kuchh na us naqsh-e-pā kā lihāz
na mahrūm rakh mujh ko husn-e-qubūl
rahe kuchh to dast-e-duā kā lihāz
vo haiñ paas ab bas kar ai dard-e-dil
kare kuchh maraz bhī davā kā lihāz
milā.ī na 'vahshat' kabhī us se aañkh
mujhe thā jo us kī hayā kā lihāz
murawwat ka pas aur wafa ka lihaz
kare aashna aashna ka lihaz
dam-e-sajda sar saKHt tha be-adab
kiya kuchh na us naqsh-e-pa ka lihaz
na mahrum rakh mujh ko husn-e-qubul
rahe kuchh to dast-e-dua ka lihaz
wo hain pas ab bas kar ai dard-e-dil
kare kuchh maraz bhi dawa ka lihaz
milai na 'wahshat' kabhi us se aankh
mujhe tha jo us ki haya ka lihaz
Leave a comment