Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

  • Ghazal


shauq phir kucha-e-jaanan ka satata hai mujhe


shauq phir kūcha-e-jānāñ kā satātā hai mujhe
maiñ kahāñ jaatā huuñ koī liye jaatā hai mujhe

jalva kis ā.īna-rū kā hai nigāhoñ meñ ki phir
dil-e-hairat-zadā ā.īna banātā hai mujhe

āshiqī sheva laḌakpan se hai apnā nāseh
kyā karūñ maiñ ki yahī kaam kuchh aatā hai mujhe

lutf kar lutf ki phir mujh ko na dekhegā kabhī
yaad rakh yaad ki tū dar se uThātā hai mujhe

'vahshat' is misra-e-jur.at ne mujhe mast kiyā
kuchh to bhāyā hai ki ab kuchh nahīñ bhātā hai mujhe

shauq phir kucha-e-jaanan ka satata hai mujhe
main kahan jata hun koi liye jata hai mujhe

jalwa kis aaina-ru ka hai nigahon mein ki phir
dil-e-hairat-zada aaina banata hai mujhe

aashiqi shewa laDakpan se hai apna naseh
kya karun main ki yahi kaam kuchh aata hai mujhe

lutf kar lutf ki phir mujh ko na dekhega kabhi
yaad rakh yaad ki tu dar se uThata hai mujhe

'wahshat' is misra-e-jurat ne mujhe mast kiya
kuchh to bhaya hai ki ab kuchh nahin bhata hai mujhe

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 shauq phir kucha-e-jaanan ka satata hai mujhe Nomaan Shauque

Leave a comment

+