Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

  • Ghazal


dil ke kahne pe chalun aql ka kahna na karun


dil ke kahne pe chalūñ aql kā kahnā na karūñ
maiñ isī soch meñ huuñ kyā karūñ aur kyā na karūñ

zindagī apnī kisī tarah basar karnā hai
kyā karūñ aah agar terī tamannā na karūñ

majlis-e-vāz meñ kyā merī zarūrat nāseh
ghar meñ baiThā huā shuġhl-e-mai-o-mīnā na karūñ

mast hai haal meñ dil be-ḳhabar-e-mustaqbil
sochtā huuñ use hushyār karūñ yā na karūñ

kis tarah husn-e-zabāñ kī ho taraqqī 'vahshat'
maiñ agar ḳhidmat-e-urdu-e-muallā na karūñ

dil ke kahne pe chalun aql ka kahna na karun
main isi soch mein hun kya karun aur kya na karun

zindagi apni kisi tarah basar karna hai
kya karun aah agar teri tamanna na karun

majlis-e-waz mein kya meri zarurat naseh
ghar mein baiTha hua shughl-e-mai-o-mina na karun

mast hai haal mein dil be-KHabar-e-mustaqbil
sochta hun use hushyar karun ya na karun

kis tarah husn-e-zaban ki ho taraqqi 'wahshat'
main agar KHidmat-e-urdu-e-mualla na karun

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 dil ke kahne pe chalun aql ka kahna na karun Nomaan Shauque

Leave a comment

+