Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waheeda Naseem

  • Ghazal


mizhgan pe aaj yas ke moti bikhar gae


mizhgāñ pe aaj yaas ke motī bikhar ga.e
zulmat baḌhī jo raat kī taare nikhar ga.e

kaisī ziyā hai ye jo munavvar haiñ bām-o-dar
sū-e-falak ye kis kī fuġhāñ ke sharar ga.e

shikve haiñ āsmāñ se zamīñ se shikāyateñ
ilzām un ke jaur ke kis kis ke sar ga.e

mahfil meñ aa.ī kis kī sadā-e-shikast-e-dil
saaqī ke haath ruk ga.e sāġhar Thahar ga.e

sīna-figār phūloñ se ḳhushbū nikal paḌī
shabnam ke āñsuoñ se gulistāñ nikhar ga.e

uljhī thī jin meñ ek zamāne se zindagī
kyuuñ ai ġham-e-hayāt vo gesū sañvar ga.e

mizhgan pe aaj yas ke moti bikhar gae
zulmat baDhi jo raat ki tare nikhar gae

kaisi ziya hai ye jo munawwar hain baam-o-dar
su-e-falak ye kis ki fughan ke sharar gae

shikwe hain aasman se zamin se shikayaten
ilzam un ke jaur ke kis kis ke sar gae

mahfil mein aai kis ki sada-e-shikast-e-dil
saqi ke hath ruk gae saghar Thahar gae

sina-figar phulon se KHushbu nikal paDi
shabnam ke aansuon se gulistan nikhar gae

uljhi thi jin mein ek zamane se zindagi
kyun ai gham-e-hayat wo gesu sanwar gae


Source: Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 478) Author : Farooq Argali Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004) Edition : 2004

Leave a comment

+