Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waheeda Naseem

  • Ghazal


raushan hon dil ke dagh to lab par fughan kahan


raushan hoñ dil ke daaġh to lab par fuġhāñ kahāñ
ai ham-safīr ātish-e-gul meñ dhuāñ kahāñ

hai naam āshiyāñ kā magar āshiyāñ kahāñ
nikhre hue haiñ ḳhaak meñ tinke kahāñ kahāñ

uTh uTh ke pūchhtā hī rahā raah kā ġhubār
kahtā magar ye kaun luTā kārvāñ kahāñ

baaqī nahīñ haiñ jaib-o-garebāñ ke taar bhī
likkheñge ai bahār tirī dāstāñ kahāñ

ham ajnabī haiñ aaj bhī apne dayār meñ
har shaḳhs pūchhtā hai yahī tum yahāñ kahāñ

dekho ki ab hai barq-e-sitam kī nazar kidhar
pūchho na ye chaman meñ jale āshiyāñ kahāñ

aalam guzar rahā hai ajab ahl-e-dard par
ho dil meñ mudda.ā bhī to muñh meñ zabāñ kahāñ

apnī ḳhushī vajūd-e-gulistāñ pe ai 'nasīm'
maanā ki vo sukūn-e-nasheman yahāñ kahāñ

raushan hon dil ke dagh to lab par fughan kahan
ai ham-safir aatish-e-gul mein dhuan kahan

hai nam aashiyan ka magar aashiyan kahan
nikhre hue hain KHak mein tinke kahan kahan

uTh uTh ke puchhta hi raha rah ka ghubar
kahta magar ye kaun luTa karwan kahan

baqi nahin hain jaib-o-gareban ke tar bhi
likkhenge ai bahaar teri dastan kahan

hum ajnabi hain aaj bhi apne dayar mein
har shaKHs puchhta hai yahi tum yahan kahan

dekho ki ab hai barq-e-sitam ki nazar kidhar
puchho na ye chaman mein jale aashiyan kahan

aalam guzar raha hai ajab ahl-e-dard par
ho dil mein muddaa bhi to munh mein zaban kahan

apni KHushi wajud-e-gulistan pe ai 'nasim'
mana ki wo sukun-e-nasheman yahan kahan


Source: Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 479) Author : Farooq Argali Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004) Edition : 2004

Leave a comment

+