zamāne phir na.e sāñche meñ Dhalne vaalā hai
zarā Thahar ki natīja nikalne vaalā hai
abhī hujūm-e-azīzāñ hai zer-e-taḳht-e-murād
magar zamāna chalan to badalne vaalā hai
huī hai nāqa-e-lailā ko sārbāñ kī talāsh
julūs shahr kī galiyoñ meñ chalne vaalā hai
zamīr apnī tamannā ko phir ugal degā
samundaroñ se ye sonā uchhalne vaalā hai
nayā azaab na.ī sub.hoñ kī talāsh meñ hai
ye mulk phir nayā qātil badalne vaalā hai
sadā-e-sub.h-e-bashārat ḳhabar sunā.egī
sulag rahā hai jo siina vo jalne vaalā hai
na.e azaab kī aamad hai aur ham haiñ 'vahīd'
azāb-e-daura-e-hāzir to Talne vaalā hai
zamane phir nae sanche mein Dhalne wala hai
zara Thahar ki natija nikalne wala hai
abhi hujum-e-azizan hai zer-e-taKHt-e-murad
magar zamana chalan to badalne wala hai
hui hai naqa-e-laila ko sarban ki talash
julus shahr ki galiyon mein chalne wala hai
zamir apni tamanna ko phir ugal dega
samundaron se ye sona uchhalne wala hai
naya azab nai subhon ki talash mein hai
ye mulk phir naya qatil badalne wala hai
sada-e-subh-e-bashaarat KHabar sunaegi
sulag raha hai jo sina wo jalne wala hai
nae azab ki aamad hai aur hum hain 'wahid'
azab-e-daura-e-hazir to Talne wala hai
Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 717) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009
Leave a comment