Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waheed Akhtar

  • Ghazal


aag apne hi daman ki zara pahle bujha lo


aag apne hī dāman kī zarā pahle bujhā lo
fursat ho to phir ham ko bhī jalne se bachā lo

ai qismat-e-fardā ke ḳhush-ā.ind ḳhayālo
rāteñ na sahī din hī mire aa ke ujālo

patthar ke sanam bhī kabhī kuchh bol sake haiñ
ai but-shikan az.hān ke ḳhāmosh savālo

tum meñ to mirā āhū-e-ḳhush-gām nahīñ hai
ai vādī-e-taḳh.ill ke gum-gashta ġhazālo

miTtī huī tasvīr meñ kyā rañg bharoge
miTnā thā jinheñ miT ga.e tum ḳhud ko sambhālo

ik dard kī daulat tumheñ ham sauñp chale haiñ
ab us ko luTā do ki hayāt apnī banā lo

bād-e-saharī phuul khilā aa.ī chaman meñ
kuchh tum bhī lahū apne shahīdoñ kā uchhālo

in rāhoñ meñ vo naqsh-e-kaf-e-pā to nahīñ hai
kyuuñ phuuT ke ro.e ho yahāñ paañv ke chhālo

chehre pe thakan bāloñ meñ gard āñkhoñ meñ surḳhī
lambā hai safar paañv ke kāñTe to nikālo

phir sā.at-e-dīdār 'vahīd' aa.e na aa.e
tasvīr banā kar unheñ āñkhoñ meñ chhupā lo

aag apne hi daman ki zara pahle bujha lo
fursat ho to phir hum ko bhi jalne se bacha lo

ai qismat-e-farda ke KHush-aind KHayalo
raaten na sahi din hi mere aa ke ujalo

patthar ke sanam bhi kabhi kuchh bol sake hain
ai but-shikan azhan ke KHamosh sawalo

tum mein to mera aahu-e-KHush-gam nahin hai
ai wadi-e-taKHill ke gum-gashta ghazalo

miTti hui taswir mein kya rang bharoge
miTna tha jinhen miT gae tum KHud ko sambhaalo

ek dard ki daulat tumhein hum saunp chale hain
ab us ko luTa do ki hayat apni bana lo

baad-e-sahari phul khila aai chaman mein
kuchh tum bhi lahu apne shahidon ka uchhaalo

in rahon mein wo naqsh-e-kaf-e-pa to nahin hai
kyun phuT ke roe ho yahan panw ke chhaalo

chehre pe thakan baalon mein gard aankhon mein surKHi
lamba hai safar panw ke kanTe to nikalo

phir saat-e-didar 'wahid' aae na aae
taswir bana kar unhen aankhon mein chhupa lo


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+