Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wahab Danish

  • Ghazal


kai bhayanak kali raaton ke andhiyare mein


ka.ī bhayānak kaalī rātoñ ke añdhiyāre meñ
tanhā.ī meñ jaltī battī ghar meñ huī asiir

koī apnā ban darvāze dastak de ik baar
ḳhāmoshī kī piiTh pe khīñche sīdhī ek lakīr

siine meñ TuuTī har ḳhvāhish kī nāzuk nannhī nok
kajlā.ī āñkhoñ ke aage ḳhvāboñ kī ta.abīr

tan kā jogī man kā saa.il māñge mīThī niiñd
roTī kapḌā paisa rakh ke ro.e raat faqīr

kai bhayanak kali raaton ke andhiyare mein
tanhai mein jalti batti ghar mein hui asir

koi apna ban darwaze dastak de ek bar
KHamoshi ki piTh pe khinche sidhi ek lakir

sine mein TuTi har KHwahish ki nazuk nannhi nok
kajlai aankhon ke aage KHwabon ki tabir

tan ka jogi man ka sail mange miThi nind
roTi kapDa paisa rakh ke roe raat faqir


Leave a comment

+