Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wafa Siddiqui

  • Ghazal


ye kashmakash-e-munim-o-nadar kahan tak


ye kashmakash-e-mun.im-o-nādār kahāñ tak
sarmāya-o-mehnat kī ye takrār kahāñ tak

TūTegī na zulmāt kī dīvār kahāñ tak
uTThegī na vo chashm-e-sahar-bār kahāñ tak

is shahr-e-dil-āzār meñ ab dekhnā ye hai
rahtī hai yūñhī yūrish-e-āzār kahāñ tak

ḳhushnūdī-e-sayyād kī ḳhātir yūñhī yaaro
zindānoñ ko kahte raheñ gulzār kahāñ tak

ik roz bil-āḳhir mujhe taslīm kareñge
jhuTlāeñge mujh ko mire aġhyār kahāñ tak

is tarah to sar ma.arka-e-dār na hogā
chhānoge 'vafā' kūcha-e-dildār kahāñ tak

ye kashmakash-e-munim-o-nadar kahan tak
sarmaya-o-mehnat ki ye takrar kahan tak

TuTegi na zulmat ki diwar kahan tak
uTThegi na wo chashm-e-sahar-bar kahan tak

is shahr-e-dil-azar mein ab dekhna ye hai
rahti hai yunhi yurish-e-azar kahan tak

KHushnudi-e-sayyaad ki KHatir yunhi yaro
zindanon ko kahte rahen gulzar kahan tak

ek roz bil-aKHir mujhe taslim karenge
jhuTlaenge mujh ko mere aghyar kahan tak

is tarah to sar marka-e-dar na hoga
chhanoge 'wafa' kucha-e-dildar kahan tak


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+