Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wafa Naqvi

  • Ghazal


kahin ye KHwab mera zindagi na ban jae


kahīñ ye ḳhvāb mirā zindagī na ban jaa.e
charāġh bujhtā huā raushnī na ban jaa.e

maiñ is ḳhayāl se rotā nahīñ huuñ sahrā meñ
kahīñ ye dasht kisī din nadī na ban jaa.e

irāda kar to rahe ho use chalāne kā
magar ye tiir tumhārā hañsī na ban jaa.e

azāb-e-vasl gavārā to hai hameñ lekin
ye ek lamha rahe ik sadī na ban jaa.e

ajiib rañg haiñ khīñche hī jā rahe haiñ mujhe
jo maiñ banātā nahīñ huuñ vahī na ban jaa.e

samundaroñ meñ jise maiñ ne bahte dekhā hai
mirā nasīb vo tishna-labī na ban jaa.e

bhaTak rahā hai bahut rāt-din koī mahtāb
makān us kā kahīñ be-gharī na ban jaa.e

tamām-umr jo tanhā.ī meñ rahā merī
vo anjuman meñ kahīñ ajnabī na ban jaa.e

usī ḳhayāl se toḌe ga.e sabhī kashkol
hamāre shahar meñ koī saḳhī ban jaa.e

kahin ye KHwab mera zindagi na ban jae
charagh bujhta hua raushni na ban jae

main is KHayal se rota nahin hun sahra mein
kahin ye dasht kisi din nadi na ban jae

irada kar to rahe ho use chalane ka
magar ye tir tumhaara hansi na ban jae

azab-e-wasl gawara to hai hamein lekin
ye ek lamha rahe ek sadi na ban jae

ajib rang hain khinche hi ja rahe hain mujhe
jo main banata nahin hun wahi na ban jae

samundaron mein jise main ne bahte dekha hai
mera nasib wo tishna-labi na ban jae

bhaTak raha hai bahut raat-din koi mahtab
makan us ka kahin be-ghari na ban jae

tamam-umr jo tanhai mein raha meri
wo anjuman mein kahin ajnabi na ban jae

usi KHayal se toDe gae sabhi kashkol
hamare shahar mein koi saKHi ban jae


Leave a comment

+