Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wafa Naqvi

  • Ghazal


charagh jab se mere tirgi se haar gae


charāġh jab se mire tīrgī se haar ga.e
havā se haath milāne ko saare yaar ga.e

har ek baar safar merā muḳhtasar kyuuñ thā
safīne mujh ko hī sāhil pe kyuuñ utaar ga.e

tirī sarā.e meñ sāmāñ kahāñ sukūn kā thā
kisī tarah se musāfir bhī shab guzār ga.e

maiñ jin ko saa.e meñ rakhtā thā tapte sahrā meñ
ġhazab hai log vahī mujh pe sañg maar ga.e

huī jo shaam to lauTe vatan meñ apne hī
parinde yuuñ to bahut sarhadoñ ke paar ga.e

burīda-sar hī nahīñ the lahū meñ Duube hue
sunā hai neze adū ke bhī ashk-bār ga.e

badan pe sab ke qabā.eñ thiiñ surḳh āñkhoñ kī
ajab tarah se ḳhizāoñ meñ gul-e-ezār ga.e

charagh jab se mere tirgi se haar gae
hawa se hath milane ko sare yar gae

har ek bar safar mera muKHtasar kyun tha
safine mujh ko hi sahil pe kyun utar gae

teri sarae mein saman kahan sukun ka tha
kisi tarah se musafir bhi shab guzar gae

main jin ko sae mein rakhta tha tapte sahra mein
ghazab hai log wahi mujh pe sang mar gae

hui jo sham to lauTe watan mein apne hi
parinde yun to bahut sarhadon ke par gae

burida-sar hi nahin the lahu mein Dube hue
suna hai neze adu ke bhi ashk-bar gae

badan pe sab ke qabaen thin surKH aankhon ki
ajab tarah se KHizaon mein gul-e-ezar gae


Leave a comment

+