tūda-e-ḳhāk-e-badan āb-e-ravāñ ḳhuub huā
ab ke barsāt meñ miTTī kā ziyāñ ḳhuub huā
aisā mahsūs huā tū nahīñ raazī mujh se
be-yaqīnī kā mujhe tujh pe gumāñ ḳhuub huā
ḳhusbū-e-ishq uḌī le ke paroñ par titlī
jis ko chāhā thā chhupānā vo ayaañ ḳhuub huā
koī jaltā huā manzar to nahīñ thā lekin
haañ magar raat sunā hai ki dhuāñ ḳhuub huā
ek sūraj ne mire jism pe kirneñ rakh diiñ
aaj raushan mirā tārīk makāñ ḳhuub huā
tuda-e-KHak-e-badan aab-e-rawan KHub hua
ab ke barsat mein miTTi ka ziyan KHub hua
aisa mahsus hua tu nahin raazi mujh se
be-yaqini ka mujhe tujh pe guman KHub hua
KHusbu-e-ishq uDi le ke paron par titli
jis ko chaha tha chhupana wo ayan KHub hua
koi jalta hua manzar to nahin tha lekin
han magar raat suna hai ki dhuan KHub hua
ek suraj ne mere jism pe kirnen rakh din
aaj raushan mera tarik makan KHub hua
Leave a comment