samundaroñ se kabhī dasht se guzarne meñ
hue tamām safar zindagī kā karne meñ
bas us ne aa ke zarā aa.ine ko dekhā thā
zarā sī der lagī raushnī bikharne meñ
bichhaḌnā shāḳh se kal bhī hai aur aaj bhī hai
to āñdhiyoñ se bhalā kyā rakhā hai Darne meñ
maiñ be-sabab hī muḳhātab huā darīche se
nahā rahā thā vo yādoñ ke ek jharne meñ
bas ek pal kī tamannā-e-vasl kī ḳhātir
tamām-umr lagā dī ga.ī sañvarne meñ
ye aur baat junūñ ko sukūñ mile mile na mile
tabīb lag to ga.e ek zaḳhm bharne meñ
na jaane saare parinde kahāñ hue ġhā.eb
maza rahā hī nahīñ saa.e meñ Thaharne meñ
samundaron se kabhi dasht se guzarne mein
hue tamam safar zindagi ka karne mein
bas us ne aa ke zara aaine ko dekha tha
zara si der lagi raushni bikharne mein
bichhaDna shaKH se kal bhi hai aur aaj bhi hai
to aandhiyon se bhala kya rakha hai Darne mein
main be-sabab hi muKHatab hua dariche se
naha raha tha wo yaadon ke ek jharne mein
bas ek pal ki tamanna-e-wasl ki KHatir
tamam-umr laga di gai sanwarne mein
ye aur baat junun ko sukun mile mile na mile
tabib lag to gae ek zaKHm bharne mein
na jaane sare parinde kahan hue ghaeb
maza raha hi nahin sae mein Thaharne mein
Leave a comment