kabhī jo dhuup hamāre makāñ meñ aa jaa.e
to sāya-dār shajar bhī amaañ meñ aa jaa.e
maiñ shāhzāda nahīñ to faqīr hī behtar
kahīñ to zikr mirā dāstāñ meñ aa jaa.e
maiñ terā naam salīqe se to pukārūñ magar
ḳhudā-na-ḳhvāsta luknat zabāñ meñ aa jaa.e
kise Dubonā hai aur kis ko paar karnā hai
shu.ūr itnā to āb-e-ravāñ meñ aa jaa.e
maiñ ek lamhe ko sadiyoñ kī zindagī samjhūñ
mirā yaqīñ jo hisār-e-gumāñ meñ aa jaa.e
jhulas chukā hai bahut dhuup meñ badan merā
so us se kahtā huuñ ab sā.ebāñ meñ aa jaa.e
maiñ apnī aql se kuchh aur kaam le lūñgā
kabhī ye dil bhī mirā imtihāñ meñ aa jaa.e
safar kī saarī aziyyat pe ḳhaak uḌtī hai
bhaTak ke koī agar kārvāñ meñ aa jaa.e
maiñ jis ko raaz batātā huuñ apnī ḳhalvat ke
ajab nahīñ ki saf-e-dushmanāñ meñ aa jaa.e
kabhi jo dhup hamare makan mein aa jae
to saya-dar shajar bhi aman mein aa jae
main shahzada nahin to faqir hi behtar
kahin to zikr mera dastan mein aa jae
main tera nam saliqe se to pukarun magar
KHuda-na-KHwasta luknat zaban mein aa jae
kise Dubona hai aur kis ko par karna hai
shuur itna to aab-e-rawan mein aa jae
main ek lamhe ko sadiyon ki zindagi samjhun
mera yaqin jo hisar-e-guman mein aa jae
jhulas chuka hai bahut dhup mein badan mera
so us se kahta hun ab saeban mein aa jae
main apni aql se kuchh aur kaam le lunga
kabhi ye dil bhi mera imtihan mein aa jae
safar ki sari aziyyat pe KHak uDti hai
bhaTak ke koi agar karwan mein aa jae
main jis ko raaz batata hun apni KHalwat ke
ajab nahin ki saf-e-dushmanan mein aa jae
Leave a comment