Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wafa Naqvi

  • Ghazal


aankhen mila rahe hain wahi aasman se


āñkheñ milā rahe haiñ vahī āsmān se
vāqif nahīñ haiñ log jo apne jahān se

kyā jaane kaisī jañg hai tishna-labī ke saath
ḳhanjar hī haath dhone lage apnī jaan se

ik dūsre ke ḳhuun kī pyāsī hai kā.enāt
rahtā nahīñ hai koī kahīñ bhī amaan se

tāj-e-shahī pe ḳhaak uḌātā rahā faqīr
miTTī ne umr kaaT hī lī apnī shaan se

ab sūrajoñ se haath milāne kā vaqt hai
uktā ga.e haiñ log bahut sā.ebān se

muddat se ro rahī hai samundar kī mauj mauj
kyā kah gayā thā koī laraztī zabān se

ham ne tamām-umr guzārī hai us ke saath
vahshat sī ho rahī hai hameñ jis makān se

aankhen mila rahe hain wahi aasman se
waqif nahin hain log jo apne jahan se

kya jaane kaisi jang hai tishna-labi ke sath
KHanjar hi hath dhone lage apni jaan se

ek dusre ke KHun ki pyasi hai kaenat
rahta nahin hai koi kahin bhi aman se

taj-e-shahi pe KHak uData raha faqir
miTTi ne umr kaT hi li apni shan se

ab surajon se hath milane ka waqt hai
ukta gae hain log bahut saeban se

muddat se ro rahi hai samundar ki mauj mauj
kya kah gaya tha koi larazti zaban se

hum ne tamam-umr guzari hai us ke sath
wahshat si ho rahi hai hamein jis makan se


Leave a comment

+