Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wafa Naqvi

  • Ghazal


us ka koi mujhe pata hi nahin


us kā koī mujhe pata hī nahīñ
vo mire shahr meñ rahā hī nahīñ

us kī āñkheñ ajiib āñkheñ thiiñ
ḳhvāb jin meñ kabhī sajā hī nahīñ

terā inkār kyā qayāmat hai
log kahne lage ḳhudā hī nahīñ

vo ḳhayāloñ meñ ghar meñ rahtā hai
vo safar par kabhī gayā hī nahīñ

umr bhar terā zikr karnā hai
ek din kā ye silsila hī nahīñ

chāñd shab bhar udaas rahtā hai
vo darīche se jhāñktā hī nahīñ

fāsla kuchh na kuchh rakhā us ne
TuuT kar vo kabhī milā hī nahīñ

us ka koi mujhe pata hi nahin
wo mere shahr mein raha hi nahin

us ki aankhen ajib aankhen thin
KHwab jin mein kabhi saja hi nahin

tera inkar kya qayamat hai
log kahne lage KHuda hi nahin

wo KHayalon mein ghar mein rahta hai
wo safar par kabhi gaya hi nahin

umr bhar tera zikr karna hai
ek din ka ye silsila hi nahin

chand shab bhar udas rahta hai
wo dariche se jhankta hi nahin

fasla kuchh na kuchh rakha us ne
TuT kar wo kabhi mila hi nahin


Leave a comment

+