Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wafa Naqvi

  • Ghazal


KHak hoti hui tamir se Dar jate hain


ḳhaak hotī huī ta.amīr se Dar jaate haiñ
ham badaltī huī tasvīr se Dar jaate haiñ

raat ko chain se sote haiñ magar vaqt-e-sahar
ḳhvāb ke va.ada-e-tābīr se Dar jaate haiñ

vo siyāhī se likhī hotī hai ḳhuuñ se to nahīñ
phir bhī kyuuñ aap kī tahrīr se Dar jaate haiñ

DhūñDte phirte haiñ saḌkoñ pe ujāle lekin
ghar meñ aatī huī tanvīr se Dar jaate haiñ

aap to nahr kināre pe kiye haiñ qabza
aap kyuuñ pyaas ke ik tiir se Dar jaate haiñ

raqs karte hue mahloñ kī fasīloñ pe charāġh
aap kī dī huī tauqīr se Dar jaate haiñ

KHak hoti hui tamir se Dar jate hain
hum badalti hui taswir se Dar jate hain

raat ko chain se sote hain magar waqt-e-sahar
KHwab ke wada-e-tabir se Dar jate hain

wo siyahi se likhi hoti hai KHun se to nahin
phir bhi kyun aap ki tahrir se Dar jate hain

DhunDte phirte hain saDkon pe ujale lekin
ghar mein aati hui tanwir se Dar jate hain

aap to nahr kinare pe kiye hain qabza
aap kyun pyas ke ek tir se Dar jate hain

raqs karte hue mahlon ki fasilon pe charagh
aap ki di hui tauqir se Dar jate hain


Leave a comment

+