maujoñ kī sāzishoñ ne kināra nahīñ diyā
tinke ne Dūbte ko sahārā nahīñ diyā
us ne bhī merā haal na pūchhā kisī bhī vaqt
maiñ ne bhī us ko koī ishāra nahīñ diyā
us raat ko siyāh batāne meñ kyā gurez
palkoñ pe jis ne koī sitāra nahīñ diyā
tārīḳh likh rahī thī na.e sar kī dāstān
lekin sināñ ne naam hamārā nahīñ diyā
muddat se aise ḳhvāb meñ uljhe hue haiñ log
jis ne haqīqatoñ meñ nazāra nahīñ diyā
maujon ki sazishon ne kinara nahin diya
tinke ne Dubte ko sahaara nahin diya
us ne bhi mera haal na puchha kisi bhi waqt
main ne bhi us ko koi ishaara nahin diya
us raat ko siyah batane mein kya gurez
palkon pe jis ne koi sitara nahin diya
tariKH likh rahi thi nae sar ki dastan
lekin sinan ne nam hamara nahin diya
muddat se aise KHwab mein uljhe hue hain log
jis ne haqiqaton mein nazara nahin diya
Leave a comment