Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vishma Khan Vishma

  • Ghazal


sayyaad aa gae hain sabhi ek ghat par


sayyād aa ga.e haiñ sabhī ek ghaat par
uThne lagī haiñ uñgliyāñ ab merī zaat par

mausam kā lahja sard hai yādeñ bhī talḳh haiñ
tanhā.iyoñ kā bojh hai har samt raat par

kyuuñ aaj merī yaad bhī aa.ī nahīñ tujhe
kal tak to merā tazkira thā baat baat par

ghaTte the saath saath kabhī titliyoñ ke par
ab kyuuñ ḳhafā ḳhafā se ho ik mere saath par

kyuuñ dil ye be-qarār hai sāhab mujhe batā
gar rakh diyā hai haath ko 'vishma' ke haath par

sayyaad aa gae hain sabhi ek ghat par
uThne lagi hain ungliyan ab meri zat par

mausam ka lahja sard hai yaaden bhi talKH hain
tanhaiyon ka bojh hai har samt raat par

kyun aaj meri yaad bhi aai nahin tujhe
kal tak to mera tazkira tha baat baat par

ghaTte the sath sath kabhi titliyon ke par
ab kyun KHafa KHafa se ho ek mere sath par

kyun dil ye be-qarar hai sahab mujhe bata
gar rakh diya hai hath ko 'wishma' ke hath par


Leave a comment

+