mere dukh kī davā bhī rakhtā hai
ḳhud ko mujh se judā bhī rakhtā hai
māñgtā bhī nahīñ kisī se kuchh
lab pe lekin duā bhī rakhtā hai
haañ chalātā hai āñdhiyāñ lekin
mausamoñ ko harā bhī rakhtā hai
jab bhī laatā hai ġham purāne vo
un meñ hissa nayā bhī rakhtā hai
mere dukh ki dawa bhi rakhta hai
KHud ko mujh se juda bhi rakhta hai
mangta bhi nahin kisi se kuchh
lab pe lekin dua bhi rakhta hai
han chalata hai aandhiyan lekin
mausamon ko hara bhi rakhta hai
jab bhi lata hai gham purane wo
un mein hissa naya bhi rakhta hai
Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 677) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14
Leave a comment