Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vishal Khullar

  • Ghazal


diwar-o-dar sa chahiye diwar-o-dar mujhe


dīvār-o-dar sā chāhiye dīvār-o-dar mujhe
dīvāngī meñ yaad nahīñ apnā ghar mujhe

tū thā to thā vajūd meñ ik aa.ina mire
ab ġhaflatoñ se miltī hai apnī ḳhabar mujhe

palkoñ pe niiñd niiñd meñ rakhtā hai ḳhvāb phir
detā hai dastakeñ bhī vahī rāt-bhar mujhe

jī chal paḌā ḳhizāoñ kī jānib udaas shab
ye lag ga.ī bahār meñ kis kī nazar mujhe

ābād ho ga.e the tire rāste jahāñ
miltā hai us galī meñ hī apnā nagar mujhe

diwar-o-dar sa chahiye diwar-o-dar mujhe
diwangi mein yaad nahin apna ghar mujhe

tu tha to tha wajud mein ek aaina mere
ab ghaflaton se milti hai apni KHabar mujhe

palkon pe nind nind mein rakhta hai KHwab phir
deta hai dastaken bhi wahi raat-bhar mujhe

ji chal paDa KHizaon ki jaanib udas shab
ye lag gai bahaar mein kis ki nazar mujhe

aabaad ho gae the tere raste jahan
milta hai us gali mein hi apna nagar mujhe


Source: Book : Khwaab Palkon Mein (Pg. 14) Author : Vishal Khullar Publication : Insha Publications (2017) Edition : 2017

Leave a comment

+