aag dariyā ko ishāroñ se lagāne vaalā
ab ke rūThā hai bahut mujh ko manāne vaalā
mere chehre pe na.ī shaam khilāne vaalā
jaane kis or gayā bazm sajāne vaalā
niiñd TuuTe to use dekh ke aa.uuñ maiñ bhī
vo hai āñkhoñ meñ na.e ḳhvāb sajāne vaalā
raat āñkhoñ meñ kaTī din ko rahī bechainī
kaisā hamdard huā dard miTāne vaalā
zard mausam to kahīñ saḳht qavā.ed jānāñ
naġhma kuchh aur nahīñ dil ko dukhāne vaalā
ashk āñkhoñ se Tapakte haiñ bahut 'khullar'jī
un meñ ab rañg bharo tum hī zamāne vaalā
aag dariya ko ishaaron se lagane wala
ab ke ruTha hai bahut mujh ko manane wala
mere chehre pe nai sham khilane wala
jaane kis or gaya bazm sajaane wala
nind TuTe to use dekh ke aaun main bhi
wo hai aankhon mein nae KHwab sajaane wala
raat aankhon mein kaTi din ko rahi bechaini
kaisa hamdard hua dard miTane wala
zard mausam to kahin saKHt qawaed jaanan
naghma kuchh aur nahin dil ko dukhane wala
ashk aankhon se Tapakte hain bahut 'khullar'ji
un mein ab rang bharo tum hi zamane wala
Source: Book : Khwaab Palkon Mein (Pg. 92) Author : Vishal Khullar Publication : Insha Publications (2017) Edition : 2017
Leave a comment