Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vipul Kumar

  • Ghazal


waqt ki taq pe donon ki sajai hui raat


vaqt kī taaq pe donoñ kī sajā.ī huī raat
kis pe ḳharchī hai batā merī kamā.ī huī raat

aur phir yuuñ huā āñkhoñ ne lahu barsāyā
yaad aa.ī koī bārish meñ bitā.ī huī raat

hijr ke ban meñ hiran apnā bhī merā hī gayā
usrat-e-ram se bahar-hāl rihā.ī huī raat

tū to ik lafz-e-mohabbat ko liye baiThā hai
to kahāñ jaatī mire jism pe aa.ī huī raat

dil ko chain aayā to uThne lagā tāroñ kā ġhubār
sub.h le niklī mire haath meñ aa.ī huī raat

aur phir niiñd hī aa.ī na koī ḳhvāb aayā
maiñ ne chāhī thī mire ḳhvāb meñ aa.ī huī raat

waqt ki taq pe donon ki sajai hui raat
kis pe KHarchi hai bata meri kamai hui raat

aur phir yun hua aankhon ne lahu barsaya
yaad aai koi barish mein bitai hui raat

hijr ke ban mein hiran apna bhi mera hi gaya
usrat-e-ram se bahar-haal rihai hui raat

tu to ek lafz-e-mohabbat ko liye baiTha hai
to kahan jati mere jism pe aai hui raat

dil ko chain aaya to uThne laga taron ka ghubar
subh le nikli mere hath mein aai hui raat

aur phir nind hi aai na koi KHwab aaya
main ne chahi thi mere KHwab mein aai hui raat


Leave a comment

+