Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vipul Kumar

  • Ghazal


har mulaqat pe sine se lagane wale


har mulāqāt pe siine se lagāne vaale
kitne pyāre haiñ mujhe chhoḌ ke jaane vaale

zindagī bhar kī mohabbat kā sila le Duube
kaise nādāñ the tire jaan se jaane vaale

jaan niklī hai to dil aur bhī bhārī huā hai
saḳht halkāñ haiñ mirī laash uThāne vaale

ab jo bichhḌe to shab-e-hijr-e-mudām aa.egī sun
mere nādān mire chhoḌ ke jaane vaale

ab jo maiñ ḳhaak huā huuñ to havā ho ga.e haiñ
jism-dar-jism mirā saath nibhāne vaale

har mulaqat pe sine se lagane wale
kitne pyare hain mujhe chhoD ke jaane wale

zindagi bhar ki mohabbat ka sila le Dube
kaise nadan the tere jaan se jaane wale

jaan nikli hai to dil aur bhi bhaari hua hai
saKHt halkan hain meri lash uThane wale

ab jo bichhDe to shab-e-hijr-e-mudam aaegi sun
mere nadan mere chhoD ke jaane wale

ab jo main KHak hua hun to hawa ho gae hain
jism-dar-jism mera sath nibhane wale


Leave a comment

+