Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vinod Kumar Tripathi Bashar

  • Ghazal


jitna suljhaun main utni hi ulajh jati hai


jitnā suljhā.ūñ maiñ utnī hī ulajh jaatī hai
zindagī kaise marāhil pe mujhe laatī hai

mujh ko jiine kī havas hai kabhī marne kā junūñ
zindagī merī shab-o-roz phisal jaatī hai

ḳhuub rishta hai kabhī paas kabhī duur hai vo
zindagī apnī hai par ġhair nazar aatī hai

rāste band haiñ manzil hai na rahbar koī
zindagī bhī to usī samt chalī jaatī hai

zindagī tujh se hai bas itnī shikāyat mujh ko
tū kisī ġhair meñ kyuuñ itnā sukūñ paatī hai

zindagī ḳhuub hai insāf tirī duniyā kā
dard detī hai magar lab pe hañsī laatī hai

jitna suljhaun main utni hi ulajh jati hai
zindagi kaise marahil pe mujhe lati hai

mujh ko jine ki hawas hai kabhi marne ka junun
zindagi meri shab-o-roz phisal jati hai

KHub rishta hai kabhi pas kabhi dur hai wo
zindagi apni hai par ghair nazar aati hai

raste band hain manzil hai na rahbar koi
zindagi bhi to usi samt chali jati hai

zindagi tujh se hai bas itni shikayat mujh ko
tu kisi ghair mein kyun itna sukun pati hai

zindagi KHub hai insaf teri duniya ka
dard deti hai magar lab pe hansi lati hai


Leave a comment

+