Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vilas Pandit Musafir

  • Ghazal


ek bhi qatra na chhoDa kijiye


ek bhī qatra na chhoḌā kījiye
dil mirā jab bhī nichoḌā kījiye

aap hī ke naam se pahchān ho
naam merā saath joḌā kījiye

sīdhe sīdhe chal ke kyā hāsil huā
zindagī muḌtī hai moḌā kījiye

sirf duniyā par hī saarī tohmateñ
ḳhud ko bhī āḳhir jhiñjhoḌā kījiye

lene vaale to sabhī kuchh le ga.e
aap bhī ehsān thoḌā kījiye

aap ko ye haq mohabbat meñ diyā
dil hai merā ḳhuub toḌā kījiye

maiñ 'musāfir' huuñ mujhe chalnā hī hai
bā-adab chhāle na phoḌā kījiye

ek bhi qatra na chhoDa kijiye
dil mera jab bhi nichoDa kijiye

aap hi ke nam se pahchan ho
nam mera sath joDa kijiye

sidhe sidhe chal ke kya hasil hua
zindagi muDti hai moDa kijiye

sirf duniya par hi sari tohmaten
KHud ko bhi aaKHir jhinjhoDa kijiye

lene wale to sabhi kuchh le gae
aap bhi ehsan thoDa kijiye

aap ko ye haq mohabbat mein diya
dil hai mera KHub toDa kijiye

main 'musafir' hun mujhe chalna hi hai
ba-adab chhaale na phoDa kijiye


Leave a comment

+