dard dil meñ na āñkhoñ meñ paanī rahe
apne chehre pe bas shādmānī rahe
guftugū meñ girūñ na maiñ me.aar se
merā lihāz yūñhī ḳhāndānī rahe
chhat pe aa.e parinde kī ḳhātir sadā
ek miTTī ke bartan meñ paanī rahe
mujh ko rakkhā gayā ghar ke kone meñ yuuñ
chiiz jaise koī bhī purānī rahe
rābta yuuñ rahe āḳhirī saañs tak
jab bhī bichhḌeñ to āñkhoñ meñ paanī rahe
zaḳhm aa.e tujhe to mujhe dard ho
yuuñ lahū meñ hamārī ravānī rahe
manzileñ na milīñ to koī ġham nahīñ
hausla to magar āsmānī rahe
dard dil mein na aankhon mein pani rahe
apne chehre pe bas shadmani rahe
guftugu mein girun na main mear se
mera lihaz yunhi KHandani rahe
chhat pe aae parinde ki KHatir sada
ek miTTi ke bartan mein pani rahe
mujh ko rakkha gaya ghar ke kone mein yun
chiz jaise koi bhi purani rahe
rabta yun rahe aaKHiri sans tak
jab bhi bichhDen to aankhon mein pani rahe
zaKHm aae tujhe to mujhe dard ho
yun lahu mein hamari rawani rahe
manzilen na milin to koi gham nahin
hausla to magar aasmani rahe
Leave a comment