Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vijay Sharma

  • Ghazal


us gali tak saDak rahi hogi


us galī tak saḌak rahī hogī
raah ab bhī vo tak rahī hogī

rashk bādal ko bhī huā hogā
dhuup us par chamak rahī hogī

maiñ bhī kab maiñ huuñ aise mausam meñ
vo bhī ḳhud meñ bahak rahī hogī

dasht-o-sahrā kī oT meñ shāyad
ye zamīñ zaḳhm Dhak rahī hogī

vo bahut ajnabī sā pesh aayā
dil meñ koī kasak rahī hogī

jo shajar sahn meñ lagā hai 'arsh'
us pe chiḌiyā chahak rahī hogī

us gali tak saDak rahi hogi
rah ab bhi wo tak rahi hogi

rashk baadal ko bhi hua hoga
dhup us par chamak rahi hogi

main bhi kab main hun aise mausam mein
wo bhi KHud mein bahak rahi hogi

dasht-o-sahra ki oT mein shayad
ye zamin zaKHm Dhak rahi hogi

wo bahut ajnabi sa pesh aaya
dil mein koi kasak rahi hogi

jo shajar sahn mein laga hai 'arsh'
us pe chiDiya chahak rahi hogi


Leave a comment

+