shahr bezār rahguzar tanhā
zindagī uTh chalī kidhar tanhā
merī rag-rag meñ dhuul raqsāñ hai
mujh meñ maujūd hai khañDar tanhā
dasht kī nā-tamām rāhoñ par
koī sāthī hai to shajar tanhā
terī aahaT sajā ke palkoñ par
DhūñDhtī hai tujhe nazar tanhā
ho ke be-nūr raat kahlā.ī
chāñd ko DhūñDhtī sahar tanhā
sañg bhī dil bhī aur Thokar bhī
'arsh' tanhā na ye safar tanhā
shahr bezar rahguzar tanha
zindagi uTh chali kidhar tanha
meri rag-rag mein dhul raqsan hai
mujh mein maujud hai khanDar tanha
dasht ki na-tamam rahon par
koi sathi hai to shajar tanha
teri aahaT saja ke palkon par
DhunDhti hai tujhe nazar tanha
ho ke be-nur raat kahlai
chand ko DhunDhti sahar tanha
sang bhi dil bhi aur Thokar bhi
'arsh' tanha na ye safar tanha
Leave a comment