Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vijay Sharma

  • Ghazal


bara chand gae punam ke pyar bhara ek sawan bhi


baara chāñd ga.e pūnam ke pyaar bharā ik sāvan bhī
ga.e dinoñ meñ saal bhī guzrā aur gayā kuchh jīvan bhī

jashn jiit kā kaun manā.e kaun uThā.e haar kā ġham
aks mirā bhī bikhrā sā hai TuuT gayā vo darpan bhī

mere qad ko māpne vaale shāyad tujh ko yaad nahīñ
uñglī par hī uTh jaatā hai kabhī kabhī govardhan bhī

pahle tū āġhāz-e-safar kar phir tāroñ kī dūkānoñ se
baalī bunde jhumke paa.el le dūñgā maiñ kañgan bhī

us ko chhū kar lauT rahā huuñ mahak rahā hai jism aise
jaise mahak rahī ho dhūnī kastūrī aur chandan bhī

bara chand gae punam ke pyar bhara ek sawan bhi
gae dinon mein sal bhi guzra aur gaya kuchh jiwan bhi

jashn jit ka kaun manae kaun uThae haar ka gham
aks mera bhi bikhra sa hai TuT gaya wo darpan bhi

mere qad ko mapne wale shayad tujh ko yaad nahin
ungli par hi uTh jata hai kabhi kabhi gowardhan bhi

pahle tu aaghaz-e-safar kar phir taron ki dukanon se
baali bunde jhumke pael le dunga main kangan bhi

us ko chhu kar lauT raha hun mahak raha hai jism aise
jaise mahak rahi ho dhuni kasturi aur chandan bhi


Leave a comment

+