ishq ne barbād kar dī zindagī haa.e re ishq
kam huī phir bhī na us kī dil-kashī haa.e re ishq
tairtā ġham ke samundar meñ ho jaise koī shaḳhs
aur muTThī meñ ho us kī har ḳhushī haa.e re ishq
ek dil āshiq kā hai aur tanz ke sau tiir haiñ
phir bhī hoñToñ par hai us kī ik hañsī haa.e re ishq
dhuup ḳhushiyoñ kī hai be-shak har taraf phailī huī
aañkh āshiq kī hai phir bhī shabnamī haa.e re ishq
haañ mujhe bhī tum se ulfat hai ye sunñe ke liye
ai 'arun' ik umr maiñ ne kaaT dī haa.e re ishq
ishq ne barbaad kar di zindagi hae re ishq
kam hui phir bhi na us ki dil-kashi hae re ishq
tairta gham ke samundar mein ho jaise koi shaKHs
aur muTThi mein ho us ki har KHushi hae re ishq
ek dil aashiq ka hai aur tanz ke sau tir hain
phir bhi honTon par hai us ki ek hansi hae re ishq
dhup KHushiyon ki hai be-shak har taraf phaili hui
aankh aashiq ki hai phir bhi shabnami hae re ishq
han mujhe bhi tum se ulfat hai ye sunne ke liye
ai 'arun' ek umr main ne kaT di hae re ishq
Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 567) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14
Leave a comment