Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ved Rahi

  • Ghazal


urwashi aasman se aa jae


urvashī āsmāñ se aa jaa.e
koī arjun sā ruup dikhlā.e

koī bas jaa.e jo tasavvur meñ
maut bhī zindagī se sharmā.e

chāñd bikhrā rahā hai kirnoñ ko
kaun aatā hai sar ko nihuḌā.e

bādaloñ ke sajīle Dole par
koī dulhan piyā ke ghar jaa.e

koī phir dil meñ chuTkiyāñ le le
koī phir man ko aa ke bahlā.e

urwashi aasman se aa jae
koi arjun sa rup dikhlae

koi bas jae jo tasawwur mein
maut bhi zindagi se sharmae

chand bikhra raha hai kirnon ko
kaun aata hai sar ko nihuDae

baadalon ke sajile Dole par
koi dulhan piya ke ghar jae

koi phir dil mein chuTkiyan le le
koi phir man ko aa ke bahlae


Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 525) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14

Leave a comment

+