Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ved Rahi

  • Ghazal


dil se jab lau lagi nahin hoti


dil se jab lau lagī nahīñ hotī
aañkh bhī shabnamī nahīñ hotī

jis ko ġham ne hayāt baḳhshī ho
har ḳhushī vo ḳhushī nahīñ hotī

kāñTe jab tak javāñ nahīñ hote
shāḳh gul kī harī nahīñ hotī

ḳhaas andāz jab suḳhan kā na ho
shā.erī shā.erī nahīñ hotī

lab pe jabran hañsī bhī laate haiñ
dard meñ kuchh kamī nahīñ hotī

dil se jab lau lagi nahin hoti
aankh bhi shabnami nahin hoti

jis ko gham ne hayat baKHshi ho
har KHushi wo KHushi nahin hoti

kanTe jab tak jawan nahin hote
shaKH gul ki hari nahin hoti

KHas andaz jab suKHan ka na ho
shaeri shaeri nahin hoti

lab pe jabran hansi bhi late hain
dard mein kuchh kami nahin hoti


Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 525) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14

Leave a comment

+