Subscribe to our newsletter and get our newest updates

vatsal rohilla

  • Ghazal


na jaane nikle baDe log hain kahan ki taraf


na jaane nikle baḌe log haiñ kahāñ kī taraf
zamīñ kī baat hai aur aañkh āsmāñ kī taraf

jahān vaale sabhī thak ga.e falak takte
ḳhudā kabhī tū bhī to dekhā kar jahāñ kī taraf

mare baġhair mirā bebasī se marnā ho jaa.e
chalā hai tiir kisī kā mirī kamāñ kī taraf

tujhe hisāb de duuñ tū ne kitnā qatl kiyā
farishta ban ke chale aa kabhī yahāñ kī taraf

hai nāzukī ne bhī talvār taan dī 'vatsal'
ye lafz-e-ishq chalā aayā jo zabāñ kī taraf

na jaane nikle baDe log hain kahan ki taraf
zamin ki baat hai aur aankh aasman ki taraf

jahan wale sabhi thak gae falak takte
KHuda kabhi tu bhi to dekha kar jahan ki taraf

mare baghair mera bebasi se marna ho jae
chala hai tir kisi ka meri kaman ki taraf

tujhe hisab de dun tu ne kitna qatl kiya
farishta ban ke chale aa kabhi yahan ki taraf

hai nazuki ne bhi talwar tan di 'watsal'
ye lafz-e-ishq chala aaya jo zaban ki taraf


Leave a comment

+