Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Varun Gagneja Wahid

  • Ghazal


ratjage mein bhi ek KHumari hai


ratjage meñ bhī ik ḳhumārī hai
ḳhvāb halkā hai niiñd bhārī hai

dekho kis kā nasīb badlegā
saañp ne keñchulī utārī hai

hosh-mandoñ ke is ḳharābe meñ
ham dīvānoñ kā raqs jaarī hai

ab use kaun dekh saktā hai
ham ne us kī nazar utārī hai

ḳhvāb kā daam ham lagā.eñge
umr ik jāgte guzārī hai

ab to shādī kī fikr hai us kī
ek guḌiyā se ishq jaarī hai

ye junūñ Thiik hai magar 'vāhid'
hosh kī apnī zimmedārī hai

ratjage mein bhi ek KHumari hai
KHwab halka hai nind bhaari hai

dekho kis ka nasib badlega
sanp ne kenchuli utari hai

hosh-mandon ke is KHarabe mein
hum diwanon ka raqs jari hai

ab use kaun dekh sakta hai
hum ne us ki nazar utari hai

KHwab ka dam hum lagaenge
umr ek jagte guzari hai

ab to shadi ki fikr hai us ki
ek guDiya se ishq jari hai

ye junun Thik hai magar 'wahid'
hosh ki apni zimmedari hai


Leave a comment

+